Tuesday, 13 January 2015

quraan ki tilawat

(1)Quran ki tilawath behterien ibadath hai .
(2)quran ki tilawath zaukh aur shaukh ke sath kare.
(3)quran paak ki tilawath mehase talbe hidayath kare.
(4)pakeezee aada imaan hai.
(5)nabi (S.A.S) irshaad hai ki jo quran padhne mein is
  tarha mashbhool rahe ke dua mangne ka mouka na
  pa sake baghair mange hi mangne walon se zyada
  denge.
(6)qurane paak ki tilawath se pehle taharath aur pakeezee
   ka pura pura ehtemam kijieye.
(7)nabi (S.A.S)ne farmaya ke theen din se kam mein
   quran katham na kare jisne theen din mein quran
   katham kara ho vo khathaen quran ko na samjha ho
   isilieye quran ko ethminaan se padhe.
(8)iss azm ke sath tilawath kare ke mujhe iske ehkaam
    ke mutabiq apne zindagi ko badalna hai aur iski hidayath
    mile uske mutabiq apne zindagi ko dhalne aur kohtahiyon
    se zindagi ko paak karne ki mousalsi koshish kijieye.
(9)qurane paak aine ki tarha aapka har har dhag
    dhabbon ko nomaya karke pesh kar dega ab ye apka
   kaam hai ke aap in dhag dhabbon ko apni zindagi ko
    paak karne ki koshish kare.

No comments:

Post a Comment