Saturday, 13 December 2014

hiqayaat hazrat musa alaihay salam ne hazrat shoeb alaihay salam ki khismat me?


• ¤¤¤ HIQAYAAT ¤¤¤ •→Hazrat Musa Alaihay Salam Ne Hazrat Shoeb Alaihay Salam Ki Khidamat Me Rahekar Un Se Ilm Aur Hiqmat Ki Baate Bhi Sikhi, Aur Das Saal Bhi Pure Kiye. Aur Is Tarha Unhone Hazrat Shoeb (Alaihay Salam) Ki Us Baat Ka Bhi Ahetaraam Kiya,Jis Me Hazrat Shoeb (Alaihay Salam) Ne Un Se Majeed Do Saal Khidmat Karne Par Unka Ahesaan Kahaa Tha. Jab Das Saal Pure Ho Gaye To Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ne Unse Apne Waldain (Khaandaan) Ke Paas Waapas Mishr (Egypt) JaaneKi Izazat Li Aur Apne Biwi Bachche Aur Gulaam Ko Saath Lekar Mishr Ki Taraf Rawaana Huve. Riwaayato Me Hai Ki Shaayad Woh Sardi (Thand) Ki Raat Thi Ya Unki Biwi Ki Jachki (Delivery) Ka Waqt Tha. Khair Jab Woh Log Apne Safar Par ChaleTo Toor Ki Pahaadi Ya Tuwa Ki Waadi Me Pahoonche. Jab Raat Ho Gayee To Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ne Dekha Ki Door Pahaad Se Ek Roushni (Light) Nazar Aa Rahi Hai, Unhone Apne Ghar Walo Se Kahaa, “Tum Log Yahaa Par Ruko Mai Uss Pahaadi Par Ja Rhaa Hoon Waha Se Shaayd Kuch Aag (Fire) Mil Jaaye Taki Tum Log Taap Sako Aur Aage Raaste Ki Kuch Khabar Bhi MilJaaye”.Jab Hazrat Musa (Alaihay Salam) Us Pahaadi Par Pahooche To Unhone Deka Ki Us Pahaadi Ke Daahine (Right Side) Se Ek Darakht (Tree) Se Roushni (Light) Aa Rahi Hai. Fir Unhe Gaib Se Ek Aawaaz Sunaayee Di. Jo Gaalban Usi Muqaddas Darakht (Tree) Se Aa Rahi Thi. Ye Aawaaz Hamaare Rab Ki Thi Jo Saare Aalam Ka Malik Aur Khaliq Hai.Allah Ta’ala Ne Kahaa, “Aye Musa Main Tumhaara Rab Aur Sare Jahaan Ka Paalne Wala Hoon. Meri Baat Gour Se Sun Aur Apni Jutiya (Shoes) Utaar DeTu Muqaddas (Paak) Waadi Tuwa Me Hai. Maine Tujhe Naboowat Aur Risaalat Ke Liye Chun Liya Hai. Meri Khoob Hamd-O-Sanaa Kar Aur Namaaze Qaayem Kar. Jo Teri Taraf Wahee (Baate Ya Kalaam) Ki Jaati Hai Use Gour Se Sun. Beshaq Main Hi Allah Ta’ala Hoon, Mere Siwaa Koi Bhi Ibaadat Ke Laayeq Nahi, Isiliye Tu Sirf Meri Hi Ibaadat Kar. Yaqinan Qayaamat Aane Wali Hai, JiseMaine Posheeda (Chupaa Kar Rakhna) Rakha Huwa Hai, Taa Ki Har Shakhsh (Aadmi) Ko Wo Badlaa Diya Jaaye Jis Ki Usne Koshish Ki Ho. Isiliye Is Yaqeen Se Tujhe Koi Aisa Shakhsh (Aadmi) Na Rok De Jo Is Par Imaan Na Rakhta Ho Aur Apne Nafs (Khawaahisho) Ke Piche Laga Huwaa Ho, Warnaa Tu Raah Se Bhatak Jaayega Aur Halaaq Ho Jaayega”.Dosto Wo Tuwa Ki Wadi Muqaddas Thi Kyonki Wahaa Hamare Rab Ki Tajjully Ka Jalwaa Runumaa Tha, Isiliye Allah Ta’ala Ne Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ko Jutiya Utaarne Ka Huqm Diya.Kyonki Hazrat Musa (Alaihay Salam) Allah Ta’ala Se Hamkalaam Huve Isiliye Unhe Kaleemullah Kahaa Gaya. Allah Ta’ala Ne Farmaaya, “Aye Musa Ye Tere Haath Me Kya Hai ?”.Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ne Kahaa, “Aye Mere Rab Ye Aasaa (Lakdi Ya Chadee) Hai Jis Se Mai Apni Bakriyo Ko Haanktaa Hoon Aur Unke Liye Jhaad (Tree, Darakht) Se Patte (Leaves) Todta Hoon, Aur Is Se Tek (Sahaara) Bhi Leta Hoon Aur Bhi Ye Mere Bahut Se Kaam Me Aati Hai”.Allah Ta’ala Ne Farmaaya, “Aye Musa Ise Zameen Par Daal De”. Aur Jaise Hi Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ne Us Aasaa (Chadee) Ko Zameen Par Daala Wo Ek Kaala Naag (Saanp) (Snake) Ban Kar Fufkaarne Lagi Aur Karwate Lene Lagi. Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ne Us Saanp (Snake) Ko Dekha To Khouf Ke Maare Piche Palat Kar Bhagne Lage. Allah Ta’ala Ne Pukaara, “Aye Musa Khouf Na Khaavo (Daro Nahi) Tum Apne Rab Ki Amaan (Hafaazat) Me Ho”.Hazrat Musa (Alaihay Salam) Waapas Palat Aaye, Lekin Abhi Bhi Darr Se Kaanp Rahe The.Allah Ta’ala Ne Farmaaya, “Bekhouf Ho Kar Ise Pakad Lo, Ham Ise Pahele Ki Surat (Chadee) Me Dubaara La Denge. Aur Apna Haath Apni Bagal Me Daal Le Is Se Tera Khouf Bhi Jaata Rahega”,Aur Farmaaya, “Ab Apna Haath Baahar Nikaal.” To Wo Haath (Hand) Bina Kisi Takleef Aur Dard Ya Kharaabi Ke Ekdam Safed (White) Aur Chamkta Huwa Niklaa.Allah Ta’ala Ne Farmaaya, “Ye Do Moajjaze Hai, Ye Isiliye Hai Ki Ham Tujhe Apni Badi-Badi Nishaniya Dikhana Chahte Hai”TO BE CONTINUE...!!!!! Plz share this page more than more, if you want to spread Islam with Proper way !!!!!!!

No comments:

Post a Comment